kar rahe hain kya,
ye to sab ne hai jana,
par kar rahe hain kyun,
ye to koi jane na.
chalte rehte hain,
sab raston pe hain mana,
par chal rahe hain kyun,
ye to koi jane na.
dil ki khwahishon ka,
peecha sabne hai thana,
par khwahishein hain kyun,
ye to koi jane na.
dukhi hain hum sab,
dard hai sabhi ne paana,
par dukhi hain hum kyun,
ye to koi jane na.
khushiyaan talashte log,
chidiya hai jaise daana,
par khushiyan chahte kyun,
ye to koi jane na.
sochte hain sab,
aur ye sochte hi jana,
ki sochte hain kyun,
ye kyun koi jane na.
No comments:
Post a Comment